Pharmacy Business Kaise Shuru Karein - Business Plan In Hindi (2024)

Jivan mein har koi ek acche mukam pe pahunchna chahta hai, kaamyab hona chahta hai aur tarakki karna chahta hai. Isi kamyabi ko chhune ke liye har koi kisi na kisi kaam mein ya business mein agey badhne ki kosish kar raha hai. Esa hi ek kaam hai pharmacy business. Magar jankari ke abhaw mein kayi log is business ke bare mein soch kar reh jate hain. Ji haan – Jaise hi koi kisi field mein kaam karne ke bare mein sochta hai, uske saamne jankari ka abhav sabse badi rukawat bankar ajata hai. Is article mein hum aapko medical store business se judi har wo jankari denge jo aapko is business ko shuru karne ke liye bhot jaruri hai. Is article mein hum batayenge –

Pharmacy mein business ke awasar

Kitna profit kama sakte hain

Qualification kya honi chahiye

Market ki jankari

Punji aur Infrastructure

Kanuni Prakriya

Marketing kaise karein

Executive Summary

Pharmacy business yani chemist ki shop ka business ek behtareen aur evergreen business idea hai. India mein medical store business ek esa kaam hai jo kabhi khali nahi jane wala aur na hi is business mein kabhi koi nuksaan ho sakta hai.

Magar information ki kami ke karan kaafi log jo is business ko shuru karna chahte hain unhe dikkaton ka samna karna padta hai. Aaj hum is blog ke madhyam se usi kami ko dur karne ki kosish karenge. Is article mein hum har us pehlu pe baat karenge jo aapko pharmacy mein business karne ki shuruwat se anth tak ki saari jankari dega.

Pharmacy Mein Business Ke Awasar

Pharmacy ek esa business hai jo ki kam lagat mein chalne wala ek behtareen business hai aur kaafi jyada demand ke karan ek successful business idea bhi hai. Desh ki economy ka is sector mein kuch khaas prabhav nahi padta hai kyunki ye ek esa field hai jiski jarurat har kisi ko hoti hai. Kuch studies ki maane toh 2050 tak India mein karib 20% log 60 ya 60 se jyada umar ke honge, jo ki ek esa age group hai jismein dawaiyon ki maang sabse jyada hoti hai.

Isiliye ye kehna galat nahi hoga ke medical store business aaj ke daur mein aapke liye kaafi fayedemand hogi. PWC dwara di gayi report ki maane toh India mein pharmacy business jo ki 2009 mein 13000 crore par thi, 2020 mein 35000 crore tak pahunch jayegi. Issey aap andaza laga sakte hain ke pharmacy mein business karna aapke liye kitna fayedemand ho sakta hai.

Iske alawa, ek bar aapne ek successful medical store khol lia toh aapko future mein aane wali profit ke bare mein jyada sochna nahi padega. Aur ek baar apki ek individual dukan chal jayegi toh aap usi dukaan ko chain pharmacy mein bhi convert kar sakte hain jismein aap alag alag area mein usi dukaan ke naam pe aur bhi pharmacies khol sakte hain.

Kitna profit kama sakte hain

Retail medical store benefit margin 5% – 30% tak vary karti hai. Ismein har tarah ke products ki margin alag alag hoti hai, jaise FMCG products ki profit margin, Generic medicines, OTC (Over-The-Counter) medicines, Branded prescription products. Iske bad aap jo bhi kuch discount provide karte hain jo ki 5% – 20% tak ho sakta hai, uske bad aapka benefit margin karib 5% – 25% tak ban sakta hai. Niche diye gaye pie chart se aap samajh sakte hain ke har ek product mein kitni benefit margin mil sakti hai aur after discount kitna profit margin mil sakta hai-

Pharmacy Business Kaise Shuru Karein - Business Plan In Hindi (1)

Medicine business mein hone wala munafa

Execution – Kaise shuru karein pharmacy business

Qualification

Medical store kholne ke liye ek minimum qualification ki jarurat hoti hai. Koi bhi jo ki chemist ki dukaan kholna chah raha ho usey 12th mein science stream se padha hua hona chaiye aur graduation mein pharma ki degree honi chaiye. Ye qualification us insaan ki honi chaiye jiske naam pe drug license jari kia ja raha ho (Drug license ki puri jankari aapko agey milegi). Dhyaan rahe, ye jaruri nahi ke agar aap shop ke owner hain toh aapke pas ye qualification ho, aapke kisi janne wale ke pas bhi agar ye qualification hogi toh bhi aap shop ke liye drug license nikalwa sakte hain jo ki dukaan kholne ke process mein ek kaafi important step hai.

Pharmacy Business Kaise Shuru Karein - Business Plan In Hindi (2)

Source: Pharmahelp

Aapke pas ya aapke kisi janne wale ke pas agar graduation mein inmein se koi bhi degree hai, toh wo dukaan ke drug license ke liye eligible hai.

Note: Dhyaan rahe, ke pharmacy business shuru karne ke liye jiske naam pe drug license jari kia gaya ho uska aapke sath shop par hona jaruri hai. Agar wo vyakti aapke sath shop par maujud nahi hoga, toh kabhi bhi Drug Inspection ke taraf se aapka license cancel ho sakta hai. Iske alawa, agar aapke pas 1 year ka drug and medicine field mein experience hai toh aap bina licensed carrying person ke bhi apna kaam chala sakte hain.

Qualification ke bad agla step aata hai market research ka, yani ye pata karne ka ke aapki dukaan kaise aur kahan acchi chal sakti hai aur wo kya important factors hain jo dukaan kholne se pehle dhyaan mein rakhna jaruri hai.

Market ki jankari

Pharmacy business shuru karne se pehle market area ko lekar kayi saare factors hain jinko aap dhyaan mein rakhein. In factors pe hi decide hoga ke apki shop kaisi honi chahiye aur kon se area mein acchi chalegi.

  1. Existing medical store kharidein ya nayi medical store kholein

Ek independent pharmacy business shuru karne ke liye ya toh aap kisi pehle se existing pharmacy ko kharid sakte hain ya fir apni khud ki dukaan shuru kar sakte hain. In dono tarike ke alag alag fayede aur nuksan hain.

Existing Pharmacy

Fayeda

  • Bani banayi pharmacy aur consumer base paye
  • Purane staff ko apne sath rakha ja sakta hai
  • Bhot jyada advertisem*nt ki jarurat nahi padti

Nuksan

  • Established dukaan ko kharidna mehnga hota hai
  • Kharidne ke liye jyada loan lene ki jarurat pad sakti hai
  • Dukan jahan hai wahin aapko apna business shuru karna hoga

Nayi Pharmacy

Fayeda

  • Nayi dukaan khadi karne mein investment kam lagti hai
  • Kam paison mein bhi dukaan shuru kia ja sakta hai
  • Apne mann chahe location pe dukaan shuru kar sakte hain

Nuksan

  • Nayi dukaan kholein aur naye consumers ko attract karein
  • Naye staff ko hire karne ki jarurat hai
  • Consumers badhane ke liye advertisem*nt ki kaafi jarurat hogi

2. Locality aur area ke liye research karein

Locality ke bare mein jankari nikalne par aapko ye samajh ajyega ke esi kya chiz ya facility hai jo ki sirf aapki shop provide kar sakti hai jo ki baki nahi kar pa rahe, jaise medicine ki home delivery etc. Locality ya area research karte waqt in kuch baton ka dhyaan dein –

  • Is baat ki research karein ke aapke area mein kis age group ke log jyada rehte hain. Jaise ki jis area mein budhe ya bacche jyada honge, us area mein dawaiyon ki demand bhi jyada hogi kyunki is age group mein log bimar jyada padte hain.
  • Apne locality ki economic status ke bare mein pata karein. Agar aapki locality ke logon ka economic status niche hain toh aapko dawaiyon ka daam bhi usi ke level pe kam rakhna hoga. Aur agar economic status accha hai toh aap usi tarah se dawaiyon ka daam rakh sakte hain.
  • Dhyaan rakhein ke apke area mein kitne medical stores hain. Jitni hi jyada medical store aapke chune hue locality mein hongi aapke liye competition utna hi badh jayega aur aapko utni hi jyada mehnat karni hogi sabse agey badhne ke liye. Ye namumkin nahi hai magar mushkil jarur hai.
  • Aas pas ke pharmacy business aapko ye andaza de sakte hain ke wo area business shuru karne ke liye fayedemand hoga ya nahi. Jaise ki agar koi bada brand apke chune hue area mein apna business chala raha hai, iska matlab hai ke us brand ne bhi kaafi research kia hoga aur uske bad hi apna business shuru kia hoga. Matlab wo area apke liye bhi fayedemand ho sakta hai.
  • Ye bhi pata karein ke kya aapke chune hue area mein koi aur bhi chemist ki dukaan thi jo ki recently band ho gayi ho. Agar haan, toh kya karan tha jiske wajah se wo dukaan band hui. Kya pata wo karan aapke dukaan ko nuksaan se bacha de.

Punji aur Infrastructure

Pharmacy business shuru karne ke liye jo investment lagti hai wo multiple factors pe depend karti hai jaise apke business ka area kon sa hai, business ka level kya hai yani aap retailer ki tarah apni dukaan shuru kar rahe hain, koi distributor hain ya fir dawaiyon ki wholesale ki shop khol rahe hain. Iske alwa aapka overall finance aapke shop ki rent, advertisem*nt cost, legal fees, renovations, aur har us investment pe depend karti hai jo aapko shop kholne mein lagegi.

Fri bhi agar andaza lagaya jaye toh agar aapke pas 4-5 Lakh tak investment hai toh aap ek 10 Sq. feet ki chemist ki shop khol sakte hain jisme Drug license fee aur Medicine Stock included hoga (Excluding Shop rent/Infrastructure/Shop purchasing Cost).

Pharmacy business mein aapko apni shop mein kayi tarah ki dawaiyan aur equipments rakhne hote hain. Isiliye har dawaiyon ka division aur sabko sahi tarike se arrange karke rakhne ke liye kayi saare racks, drawers, shelves, etc. rakhne ki jarurat hoti hai. Toh ayiye jante hain ke kon kon furnitures ki jarurat hoti hai aur approximately kitna daam ayega –

FurnitureQuantityPrice (Approx.)

Show Case With Sliding Glass

110,500 INR

Medical Store Display Racks

118,000 INR

Pharmacy Rack

121,000 INR

Pharmacy Counter with Drawers

18000 INR

Medical Store Counter

139,000 INR

Cash Counter

14,700 INR

Computer Counter

14,500 INR
Total105,700 INR

Source : Indiamart

Toh agar dekha jaye toh infrastructure + documentation + stock ko jod kar dekha jaye toh aapka total budget 5 – 7 Lakh mein ho jana chahiye. Is etimate or table se aap andaza laga sakte hain aapka lag bhag kitna kharch ajayega ek medical store business start karne mein.

Pure Business ka Kharcha

Rs. 5,00,000 – 7,00,000

Iske alawa apne area mein agar aapko shop purchase karni ho ya fir rent par lena ho toh aap niche diye gaye websites pe jaker cost aur rents pata kar sakte hain. Issey aapko License fee aur stock ke sath sath infrastructure cost ka bhi andaza lag jayega.

Investment ke liye aap in 3 tarikon mein se koi bhi choose kar sakte hain –

Pharmacy Business Kaise Shuru Karein - Business Plan In Hindi (3)

Personal Investment – Personal investment yani apne hi paison ko apne shop ke liye invest karna sabse best option hota hai. Karan, issey apko loan lene ki jarurat nahi padegi jo ki aapko future mein wapis pay karna hoga. Iske alawa, agar future mein kisi aur se investment karani pad jaye, toh aapki khud se ki gayi investment aapke investor ke liye ek trust point ban jayega ke aap apne business ke bare mein serious hain.

Angel Investor – Angel investors wo log hote hain jo ke kaafi rich hote hain aur wo chhote businesses mein directly invest karte hain. In investors ko generally kaafi experience hota hai aur aapke medical store business ko badhane mein wo aapki kaafi madad kar sakte hain. Angel investors ko aap internet par apne state ke according dhund sakte hain.

Dhyaan rakhein, in investors ko approach karne se pehle apne shop ko kholne ke liye pura plan taiyyar rakhein aur ek document bana lein jo aap unhe samjha sakein.

Bank Loan – Bank loans kisi bhi small ya medium sized business ke liye kaafi important role play karta hai. Agar aapke pas apna khud ka investment nahi hai toh aap bank se loan sanction karwa sakte hain. Bank se loan sanction karwane ke liye aapko kuch chizon ki requirements hongi jaise –

  • Aapki age limit 21-65 years ki honi chahiye
  • Aapko ek profit margin dikhani hogi jo bank ko trust provide karega. Profit kam se kam 1,50,000 INR ki honi chaiye
  • Ek proper business plan dikhana hoga jo ki loan provider ko aapke business ke bare mein puri jankari de sake

Finance mein ek aur kaafi important factor hota hai aapke shop ki insurance ka. India mein log insurance pe jyada dhyaan nahi dete hain, jabki aapko kabhi kisi bhi nuksaan, jaise chori ya koi accident, se bachane ke liye shop ki insurance karwana kaafi jaruri hai. Insurance ke liye bhi aapko kisi insurance company se contact karna hoga.

Kanuni Prakriya

Pharmacybusiness mein tax registration ka matlab hai VAT (Value Added Tax) registration. India mein koi product ya kisi saaman ko business ke through bechne ke liye VAT registrations ki jarurat hoti hai.Agar medical store yani pharmacy ki baat kia jaye toh inhe 2 tarike ka registration karwana jaruri hai – TAX (VAT/GST) Registration aur Drug/Pharmacy License. Agey vistar se jante hain ke ye dono license kya hain aur kaise paya ja sakta hai.

TAX Registrations – VAT

VAT registration state government ke under aati hai. Matlab, agar aap apni chemist shop Delhi mein kholna chahte hain toh aapko Delhi VAT registration ki official site pe jaker registration karana hoga.

Isi tarah har state ki VAT registration ke liye us state ki specific VAT registration site par jaker jankari leni hogi. Niche humne kuch states ki VAT registrations ki sites meintion ki hui hain.

Tax Registration – GST

Pehle tax registration ke liye log VAT service lete the magar ab jamana GST (Good and Service Tax) ka agaya hai. GST ke under aap apne business ko register kara kar tax ke process ko pura kar sakte hain jo ki mandatory hai.

GST registration ek simple or aasan process hai jo India mein kahin se bhi online form bharke puri ki ja sakti hai. GST ke liye kuch important documents hai jinki jarurat hoti hai jaise –

Pharmacy Business Kaise Shuru Karein - Business Plan In Hindi (4)

Source: IndiaFilings

GST registration ke liye aapko GST ki official website pe jana hoga. GST ki official website pe jane ke liye yahan click karein – Goods and Service Tax

Iske alawa GST form kaise bharein janne ke liyeyahan click karein.

Drug/Pharmacy License Registration

Medical store ya pharmacy ka retail business shuru karne ke liye aapko Drug license lena mandatory yani jaruri hai. Jab tak aapke pas Drug license nahi hoga aap apni pharmacy operate nahi kar sakte hain. Drug and Cosmetic Act, 1940 dwara ye niyam all over India madatory kar dia gaya hai.

Agar koi pharmacy business yani medical store aapko 1 se jyada sheher mein kholni hai toh aapko har us seher ke liye license lena hoga jahan aap shop kholna chah rahe hain. Iske alawa agar aapki chemist shop ek hi seher mein ek se jyada jagahon pe hai toh un dono jagahon ke liye aapko alag alag aaplication dekar license issue karana hoga.

Dhyaan rahe ke Drug license lene ke liye aapko apni shop ko ek LLP ya private limited company ki tarah register karna hoga.

Drug license provide karne wale do authorities hain –

Kyunki apko chemist retail shop kholne ke liye drug license chahiye, aapko apke state ke State Drug Standard Control Organization (SDSCO) se contact karna hoga. Har state ke liye unka apna SDSCO hota hai jinki details aap is PDF se le sakte hain –

State Drug Control Organization List

Source: India Filings

Drug license ke liye jaruri requirements

Drug license lene ke liye ye kuch jaruri requirements hain jo aapko fulfil karni hogi –

  • Area:Pharmacy business shuru karne ke liye apke pas 10 square meter ka minimum area hona chahiye. Agar aap retail aur wholesale dono ka business sath mein kholna chah rahe hain toh kam se kam 15 square meter ka area hona jaruri hai.
  • Infrastructure: Medical store mein alag alag tarah ki kayi saari medicines hoti hain. Iske alawa kayi bar aap kuch chhote medical equipments bhi rakhenge apni shop mein. Isiliye aapke shop mein multiple shelves ya divisions honi chahiye jiski jankari aapko table mein di hai.

Iske alawa apke shop ka ek section expired medicines ke liye mandatory hona chahiye jahan aap expired medicines ko alag rakh sakein.

  • Storage Facility: Aapke shop mein ek refrigerator aur ek air conditioner bhi mandatory hai. Kuch specific medicines or drugs jaise vaccines, Sera ya Insulin injections ko specifically mark karke refrigerator mein hi rakhna hota hai.
  • Technical Staff: Retail drug sale ke liye aapko apni shop mein registered pharmacist ko rakhna hoga jo ki Government dwara approved hai. In mein se koi bhi ek criteria ko fulfil karne wale ko aap apni pharmacy mein rakh sakte hain –
    • State Pharmacy Council ke under registered pharmacist.
    • Ek graduate jiske pas min 1-year ka drugs sales aur marketing mein experience ho.
    • Koi esa jiske pas 4 years ka experience ho aur S.S.L.C certified ho.
    • Koi Department of drug control dwara approved bhi eligible hai.

Iske alawa aapko apne sath ek helper ya koi aur pharmacist rakhna jaruri hai jo aapki madad kar sake. As a pharmacist aapko working hours mein counter par hi rehna hoga, aur isliye baki sari chizen jaise, naye medicine ke stocks ko arrange karna, medicines ko laker counter par dena, naye stock ke liye distributor se follow-up lena, ek helper apke ye saare kaam kar sakta hai.

Drug license ke liye jaruri documents

Drug license ke liye aapko apke respective state drug license authority ki website pe jaker ek form bharna hota hai. Har ek form alag alag criteria ke liye websites pe available hai jaise –

Medical store mein retail business shuru karne ke liye aapko wo license lena hoga jo ki Form 20 dwara milega. Form 20 ke sath sath aapko kuch aur jaruri documents chaiye jo ke aapko retail pharmacy shop kholne ke liye mandatory hain –

Pharmacy Business Kaise Shuru Karein - Business Plan In Hindi (5)

Sorce: Drug Control Department, Delhi

Drug license ke forms se judi puri jankari ke liye yahan click karein.

Inke alwa kuch aur bhi jaruri documents hain jo ki form ke sath sath drug license ke liye chahiye. Ye documents 100 dpi ki black and white mein honi chahiye aur inhe scann karke online applicants dwara upload kia jayega. In documents ki original copies aapke pas honi chahiye jo ki sare process ke pura hone ke bad during inspection aapse manga jayega.

  • Application form
  • Covering Letter jo ki aapke application form ki jankari de jaise us application form ko kyun bhara gaya hai, kiske naam par hai aur us insaan ka designation kya hai.
  • Rent Agreement/ Pharmacy premise ka ownership document.
  • Premises site plan aur key plan.
  • Declaration form
  • Fee jo aap drug license ke liye jama karte hain uska challan
  • Refrigerator, air conditioner etc ki purchasing bills, electricity bills etc.
  • Incorporation Certificate, AOA and MOA ki original documents.
  • Registered pharmacist or competent person ki affidavit aur full-time employment appointment letter ki copy (in accordance with Drugs and Cosmetics Act, 1940).
  • Property tax receipt.
  • Rs 2 stamps (4 Copy)

Marketing kaise karein

Kisi bhi business chahe wo chhoti ho ya badi, use agey badhane ke liye us business ki acchi marketing karna bhot jyada jaruri hai. Iske liye dhyaan rakhein ke aapke business ke according ese kon se marketing ke tarike hain jissey aap jyada se jyada logon tak apne business ko pahuncha sakte hain. Medical store business ek esa service hai jiski har kisi ko jarurat hoti hai aur ismein kabhi kami nahi aa sakti hai. Ab baat ye hai ke aap apne baki competitors ke comparision mein esa kya kar rahe hain jo ki aapke busniess ko bakiyon se alag bana raha hai aur apke customers ki list badha raha hai. Apne business ko agey badhane ke liye aapko in 3 baton ka dhyaan rakhna hoga – Shop ki Advertisem*nt yani Prachar, Apka apne customers se behaviour yani customers se bartaw aur Customers ki benefits. Toh ayiye baat karte hain in teeno tarikon ke bare mein aur kaise aap apne business ko jyada se jyada logon tak pahuncha sakte hain.

Advertisem*nt (Prachar) – Aap apne dukaan ka prachar kayi madhyam se kar sakte hain. Kuch tarike online kiye jayenge aur kuch offline. Baat karte hain in sare tarikon ke bare mein –

Online Advertisem*nt

Google My Business – Google My Business Google ke taraf se ek free tool hai jissey aap apne business ko Google ki listing mein daal sakte hain. Iska fayeda ye hai ke jab bhi koi Google pe search karega ke aas pas chemist shop kahan hai ya fir sidha aapke naam se apki dukan dhundna chahega toh usey bhot aasani se apki shop ka sara detail Google par mil jayega.

Pharmacy Business Kaise Shuru Karein - Business Plan In Hindi (6)Pharmacy Business Kaise Shuru Karein - Business Plan In Hindi (7)

Google My Business apke shop ka naam, shop tak pahunchne ka direction, Phone number, Reviews, Ratings, images aur details sab kuch ek hi jagah par apke customer tak pahuncha dega. Iske alawa agar koi kisi area mein apne aas pas chemist ki shop dhund raha hai aur apki pharmacy us area ke range mein aarai hai toh aapke shop ka naam aur detail bhi Google ki list mein ajayega. Issey aasani se apki pharmacy ko koi bhi online dhund sakta hai.

Google My Business mein account banana kaafi aasan hai. Niche diye gaye image ke steps ko follow karke aap aasani se apna account bana sakte hain –

Pharmacy Business Kaise Shuru Karein - Business Plan In Hindi (8)

Google My Business ki jyada jankari ke liye yahan click karein.

Just Dial – Just Dial ek esa platform hai jo ki kisi bhi area ke local businesses ki information provide karta hai jo ki aapko ya toh internet ke madhyan se aapko milegi ya fir call ke through pata chalegi.

Pharmacy Business Kaise Shuru Karein - Business Plan In Hindi (9)

Just Dial mein bhi Google My Business ki tarah aapko apna busniess register karna hoga. Antar bas itna hai ke Just Dial mein aap do tarah ki listing kara sakte hain – Free listing ya fir Paid Listing.

Registration ka process kaafi simple hota hai aur ye aap online unki website se kara sakte hain ya fir aap 8888888888 pe call karke bhi registration kara sakte hain. Just Dial mein free listing karane ke liye yahan click karein – Just Dial Free Listing aur paid listing karane ke liye yahan click karein – Just Dial Paid Listing.

Offline Advertisem*nt

Hoardings – Kyunki aapka business esa business hai jo ki log jyadatar offline yani bina internet ke madhyan se dhundte hain, isiliye ye jaruri hai ke aap apne business ka prachar hoarding aur paper media ke madhyam se bhi karein. Hoarding ko lekar aapko kuch important baton ka dhyaan rakhna chaiye jaise –

  • Dukaan khulne se kuch dino pehle aap apne shop ke agey “Opening Soon” ka hoarding jarur laga dein. Taki aate jaate logon ko pata rahe ke ek nahi chemist shop unke area mein khulne wali hai.
  • Aap apne chemist shop ki hoardings har un areas mein lagwa dein jahan logon ki bhid, jahan logon ko aapke shop ki jarurat hogi ya jahan market hai jaise, Hosipitals ke aas pas, Bus stands pe, Markets mein, apne area ke residential area ke aas pas etc.

Pamphlets – Apne shop ki advertisem*nt aap pamphlets ke through bhi kar sakte hain. Isey ya toh aap khud aane jane wale logon ko dein ya fir apne area ke local newspaper wale ko kuch paise dekar bhi ghar ghar tak pahuncha sakte hain.

Yellow Pages – Yellow Pages ek directory hai jisme aapke seher ke har area ke chhote se lekar bade businesses ke numbers aur address hote hain. Yellow pages mein register karne aur jyada jankari ke liye yahan click karein.

Behaviour yani Bartaw – Ek kaafi jaani maani kahawat hai –

ऐसी बानी बोलिए, मन का आपा खोय |

औरन को शीतल करै, आपहु शीतल होय ||

Kehne ka matlab hai ke logon se is tarah se baat karein ke auron ke sath sath aapko bhi khushi mile. Aapke behaviour ka logon ke mann par kaafi asar padta hai. Agar ek taraf koi aapse buri tarah se baat kare aur ek taraf koi aapse prem se baat kare, toh ye pakka hai ke aap agey se prem se baat karne wale vyakti ke pas hi jayenge.

Usi tarah agar aap apne customers se pyaar se baat karenge aur unhe behtareen service provide karenge toh log aapke shop mein bar bar ayenge.

Iske alawa wo log khud hi aapke shop ki reference apne janne walon ko denge, jo ki aapke shop ko bakiyon se alag aur naam badhane mein kaafi madad karega.

Customers ko benefit – Aap jitna jyada apne customers ka dhyaan rakhenge aapka business utna hi jyada logon ke bich mashoor hoga. Isliye customers se judi in kuch baton ka dhyaan rakhein –

  • Apne customers ko aasan aur easy service provide karne ki kosish karein. Jitni aasani se aur kam samaye mein apki shop se log services le payenge, utna hi jyada log aapki shop par aana pasand karenge.
  • Dusre chemist shops ke comparison mein dhyaan rakhein ke esi kon si services ya products hain jo ki aap logon ko de sakte hain. Jaise, dawaiyon ki home delivery, Generic medicines, kuch health related food items etc.
  • Jab bhi koi customer aapke shop par aaye, usey respect dein. Kayi bar customers aapke shop par aata hai aur usey koi attend karne wala nahi hota, ese mein kuch customers aapka vywahar pasand nahi karte hain aur wapis aapki shop par aana pasand nahi karte hain.
  • Kosish karein ke bakiyon ke comparision mein aap apne customers ko jyada se jyada aur acche discounts offer karne ki kosish karein. Agar aapke offers acche honge toh log aapki shop par aana jyada pasand karenge.

Iske alawa jab bhi aap offer ya discount dein, toh usey advertise jarur karein. Advertise karne ke liye aap apne shop ke bahar board laga sakte hain aur apne har customers ko bhi batayen ke aap apni dawaiyon par offer de rahe hain. Issey apke customers aur bhi logon ko offer ke bare mein batayenge aur aapka apne aap hi prachar ho jayega.

  • Discount offers ke alawa aap kuch certain amount kharch karne par coupons bhi provide kar sakte hain. Ussey coupons ke liye log utni kharidari karne ki sochenge aur aapka sale pehle se behtar ho jayega.
  • Aur ek bhot hi important point hai, payment ka tarika. Aaj ka daur digitalisation ki aur badh raha hai. Aise mein kosish karein ke aapke customers ko payment karne mein koi dikkat na aye. Card payement se lekar online jitne bhi madhyam hain, unhe apni shop mein available rakhein taki log aasani se kisi bhi mode mein payment kar sakein.

Toh hume umeed hai ke in information se aapko kaafi hud tak samajh agaya hoga ke India mein pharmacy business kaise shuru kar sakte hain. Humne puri kosish ki hai ke shuruwat se ant tak aapko har sawal ka jawab mil jaye. Agar abhi bhi aapko kisi jankari ki jarurat ho toh comment mein jarur pucchein. Hum aapki puri madad karenge.

Pharmacy Business Kaise Shuru Karein - Business Plan In Hindi (2024)

FAQs

How do I write a business plan for a pharmacy? ›

Here's an overview of the key elements to include in a pharmacy business plan:
  1. Mission statement. ...
  2. Executive overview. ...
  3. Ownership structure. ...
  4. Financial plans and projections. ...
  5. Demographic analysis. ...
  6. Competitive analysis. ...
  7. Your pharmacy's advantage over the competition. ...
  8. Specific planned offerings.
Nov 14, 2018

What is a pharmacy business? ›

pharmacy business means a business carried on at a pharmacy and includes the business of providing pharmacy services and that part of the business where goods of any kind are sold or offered to be sold but does not include a pharmacy department; Sample 1.

How can I make my pharmacy successful? ›

7 Ways to Increase Non-Prescription Pharmacy Sales
  1. Do Your Market Research. ...
  2. Use Your Pharmacy's Floor Plan to Your Advantage. ...
  3. Train Your Pharmacy Team to Cross-Sell and Upsell. ...
  4. Build Strong Customer Relationships. ...
  5. Stock Related Products Closely. ...
  6. Be Your Own Secret Shopper. ...
  7. Pharmacy Customer Service That Sizzles.

What is format of business plan? ›

The format provides you with a framework for presenting your thoughts, ideas and strategies in a logical, consistent and coherent manner. In other words the business plan format helps you to clarify your own ideas and present them clearly to others.

What business can a pharmacist do? ›

53 Side Hustles Any Pharmacist Can Start Today
  • Public speaking. As a pharmacist, you have a unique position that allows you to speak and provide education to other people. ...
  • Teaching courses. ...
  • Video editing. ...
  • Photography. ...
  • YouTube. ...
  • Writing. ...
  • Medical writing. ...
  • Transcription.
Apr 24, 2017

How much money do you need to start a pharmaceutical company? ›

Minimum Investment to Start a Pharma Manufacturing Company

Drug license, FSSAI registration, TIN, GST number, and licensing costs are the main expenses. You need a manufacturing unit, which can be owned or outsourced. The overall cost of launching a pharma manufacturing company goes between 5 lacs to 10 lacs.

Who can open pharmacy shop in India? ›

A competent person could be any one of the following: A person who is a graduate and has one year of experience in selling drugs. A person who is a registered pharmacist. A person who has the degree of SSLC and has experience of 4 years in dealing in drugs.

Is pharmacy a good business in India? ›

Is pharmacy business profitable in India? Pharmacy Business In India is the most profitable business in India that will not be affected by any pandemic situation. As per government record, India has spent 1.15 % of its GDP on healthcare facilities and the government has targeted to increase this to 2.5 % by 2025.

Is pharmacy a good business? ›

The average independent pharmacy gross profit margin in 2019 was 22 percent. Compared to other industries, that's below average. But your profit as a pharmacy owner may range far below or beyond it, depending on how you run your business. In 2019, the average revenue for independent pharmacies was $3,400,000.

How do I start my own pharmaceutical company? ›

So, here are a few helpful tips that can get you started on your journey to building a flourishing pharmaceutical company:
  1. Research your playing ground. ...
  2. Make a hard-hitting business plan. ...
  3. Regulations and Registration. ...
  4. Look into the production details. ...
  5. Marketing and Distribution. ...
  6. Join hands with the right people.

How do you manage a pharmacy business? ›

Use these 10 tips to make your pharmacy management effective and profitable.
  1. Create a structured work environment. Structure is vital to growth. ...
  2. Determine employees' strengths and weaknesses. ...
  3. Show your appreciation. ...
  4. Promote teamwork. ...
  5. Determine your goals. ...
  6. Be a leader, not just a boss. ...
  7. Communicate effectively. ...
  8. Delegate more.
Oct 11, 2018

What is the profit margin for a pharmacy? ›

The profit margin in offline pharmacies typically ranges between 15-26% for branded medicines, which may go up to 40-50% in the case of generics. Even with offering 12-80% discounts to attract customers, franchisors ensure that their franchisees gain more than 15% margin.

What is a business plan PDF? ›

✓ A Business Plan is a document in which a business opportunity, or a business already under way, is identified, described and analyzed, examining its technical, economic and financial feasibility.

Which pharmacy business is best? ›

Medicine Distribution. Currently, medicine distribution is one of the best businesses for pharmacists. Actually, pharmacists know medicine better than any other else. However, like any other retail distribution business, medicine distribution demands moderate capital investment initially.

Can pharmacist start a business? ›

Pharmacists in California can only incorporate as professional pharmacy corporations. They are not allowed to form any other type of corporation.

How can a pharmacist increase salary? ›

19 ways to make extra money as a pharmacist in 2020
  1. Take Extra Shifts. ...
  2. Look for Additional Projects / Assignments. ...
  3. Refinance Student Loans… ...
  4. Take a Moonlighting Position. ...
  5. Earn another certification/credential. ...
  6. Switch to a Higher Paying Job or One With More Opportunities. ...
  7. Start Doing Medical Writing.
Mar 23, 2019

How do I start a 3rd party pharma business? ›

It is an easy way to start a pharma company in India.
...
Third Party Manufacturing in Pharma is Easy
  1. MAKE LIST OF DESIRED PRODUCTS AND REQUEST FOR RATES. ...
  2. FINALIZE YOUR ORDER QUANTITY AND PRODUCT COMPOSITION. ...
  3. PLACING THE ORDER. ...
  4. FINALIZE ARTWORK. ...
  5. SUBMISSION OF REQUIRED DOCUMENTS. ...
  6. PRODUCTS DELIVERY.

Which degree is required to open a pharmaceutical company? ›

Educational Qualifications and Eligibility Requirements

The basic qualification starts with a 2-year Diploma in Pharmacy (D. Pharma) with a hospital training after it. Students may also go for a 4-year Bachelor of Pharmacy (B. Pharma) degree course.

How can I get drug license in India? ›

Documents Required for obtaining Drug License in India
  1. Application Form;
  2. Cover letter with the name & designation of the applicant;
  3. Copy of challan achieved by depositing fees for obtaining drug license;
  4. Declaration in a prescribed manner;
  5. Kite plan and site plan for the premises;
  6. The basis of possession of premises;

How can I open multiple medical store? ›

The owner should use the licence of sitting pharmacist In that medical shop to run his pharmacy. If he/she resigns or leaves, he needs to replace the pharmacist and use the new pharmacist licence to run the shop. No two pharmacies can use the same licence simultaneously.

Can a doctor own a pharmacy? ›

Although laws vary in many states, a physician can operate a pharmacy in their office and dispense medications for the convenience of their patients and to make a profit as a revenue stream for their business. However, there are many rules and regulations that must be followed.

Is pharmacy business profitable in India? ›

If you are in India, opening a medical store/pharmacy business is definitely profitable upto 25-30% margin and even more.

How much does a pharmacy owner earn? ›

4) The average pharmacist who owned a single pharmacy earned about $158,000 in 2020. We estimate that on a per-pharmacy basis, the owner's discretionary profit (ODP) shrank from about $200K in 2015 to $129K in 2018. Since then, compensation has rebounded, to an estimated $141,000 in 2019 and $158,000 in 2020.

What are 4 types of pharmacist? ›

Specialties include:
  • Academic pharmacist.
  • Clinical pharmacy specialist.
  • Community pharmacist.
  • Compounding pharmacist.
  • Consultant pharmacist.
  • Drug information pharmacist.
  • Home health pharmacist.
  • Hospital pharmacist.

What is another name for pharmacy? ›

What is another word for pharmacy?
apothecarydrugstore
pharmacopeiaUSdispensing chemist's
chemistpharmacist
druggistdispenser
pharmacologistchemist's shop
2 more rows

How can I open a business? ›

  1. Conduct market research. Market research will tell you if there's an opportunity to turn your idea into a successful business. ...
  2. Write your business plan. ...
  3. Fund your business. ...
  4. Pick your business location. ...
  5. Choose a business structure. ...
  6. Choose your business name. ...
  7. Register your business. ...
  8. Get federal and state tax IDs.

What is pharma loan license? ›

—For the purpose of this rule a 'loan licence' means a licence which a licensing authority may issue to an applicant who does not have his own arrangements for manufacture but who intends to avail himself of the manufacturing facilities owned by a licensee in Form 32.

What is qualification pharma? ›

Qualification is defined as an action of providing that equipment or ancillary systems are properly installed, work correctly, and actually lead to the expected results. Qualification is part of validation, but the individual qualification steps alone do not constitute process validation.

What makes a good pharmacy manager? ›

The best pharmacy managers are those who are goal-driven and constantly working to exceed the expectations set for them, as well as those they set for themselves. They work hard to ensure that sales and safety goals are met, finding fun and creative ways to incentivize their employees' performance.

How do I advertise my pharmacy shop? ›

The best pharmaceutical marketing strategies for 2019
  1. ✅ 1. Use a professional search engine.
  2. ✅ 2. Online marketing – AdWords.
  3. ✅ 3. SEO positioning.
  4. ✅ 4. Diversify with other types of products.
  5. ✅ 5. Keep a blog (health-related questions get lots of hits)
  6. ✅ 6. Create videos.

How can I sell my medicine? ›

Obtain a drug license and register your business. Before you procure medicines to sell online, it is important for your business to obtain all the certificates, licenses and trademarks you need. This helps reassure customers of the authenticity of your brand and the medicines you sell.

How do I market my online pharmacy? ›

Also, it's worth looking into guest posting on other high-ranked local websites, such as local magazines.
  1. Paid Advertising across Google. ...
  2. Have a good pharmacy website. ...
  3. Develop an online booking system. ...
  4. Other social media channels.
Sep 21, 2019

How do you calculate a 30% margin? ›

How do I calculate a 30% margin?
  1. Turn 30% into a decimal by dividing 30 by 100, which is 0.3.
  2. Minus 0.3 from 1 to get 0.7.
  3. Divide the price the good cost you by 0.7.
  4. The number that you receive is how much you need to sell the item for to get a 30% profit margin.
Apr 6, 2022

How is net profit calculated in pharmacy? ›

Here's a quick way to calculate net margin:

Your expenses (salaries, overhead, indirect costs, etc.) cost you $5,000. You subtract your expenses ($5,000) from your gross profit ($25,000) to get your net profit. Now divide your net profit ($20,000) by your revenue ($125,000).

How much does it cost to set up a pharmacy? ›

Independent pharmacy start-up costs can vary based on location, inventory, and staffing costs. On estimate, you'll need between $350–450K to start your pharmacy.

What is the target market of pharmacy? ›

For example, if your pharmacy is located in a neighborhood with many young families, pediatric patients may be a large target audience. If you are located near a gym, you'll probably consider your target audience to be those who are looking for health supplements and nutritional products.

What are the goals of a pharmacy team? ›

Goals give your pharmacy a destination. They also provide the tracks to travel on, so you always stay in line with your vision.
...
1. Increase revenue every year
  • Increase profit every year. ...
  • Increase patients every year. ...
  • Diversify your offerings. ...
  • Lower your overhead. ...
  • Make employees happy.
Aug 1, 2018

Top Articles
Latest Posts
Article information

Author: Manual Maggio

Last Updated:

Views: 5468

Rating: 4.9 / 5 (49 voted)

Reviews: 80% of readers found this page helpful

Author information

Name: Manual Maggio

Birthday: 1998-01-20

Address: 359 Kelvin Stream, Lake Eldonview, MT 33517-1242

Phone: +577037762465

Job: Product Hospitality Supervisor

Hobby: Gardening, Web surfing, Video gaming, Amateur radio, Flag Football, Reading, Table tennis

Introduction: My name is Manual Maggio, I am a thankful, tender, adventurous, delightful, fantastic, proud, graceful person who loves writing and wants to share my knowledge and understanding with you.